1.
“Ajnabi Se Nafrat”
“Ajnabi Se Nafrat”
“Wo bandhe hai kisi aur ki, chahto ki janjir me, Phir bhi unhe chahne ki, chahat si kyon hoti hai. Dil ko samjhaya bahut ki, hain wo mere nahi kisi aur ke. Phir bhi unko dekhte hi, dil me dhak dhak si kyon hoti hai. Pata hai wo aaye hai, par kisi aur ke bulane pe. Phir bhi unke aane se, kahi koi dastak si kyon hoti hai, Najare mili thi meri unse, aise hi anjane me. Phir bhi unki najaro ki hi, inayat si kyon hoti hai, Ki nahi maine kabhi, waqt ki barbadi fijul me. Phir bhi unki baato ko sunne ki, fursat si kyon hoti hai. Haq nahi hai mujhe ki, main dub jaun unki yaadon me. Phir bhi unko chumne ki, sararat si kyon hoti hai. Honge na wo mere kabhi, agar mar bhi jaun unke intezar me. Phir bhi unki bahoon me aane ki, hasrat si kyon hoti hai. Nahi janti wo chahte hai kise, itna dil o jaan se. Phir bhi us “Ajnabi Se Nafrat” si kyon hoti hai.”
2.
"Ek bar sari feelings ne decide kiya ki wo log hide n seek khelenge.
Dard ne counting start ki aur baki feelings chhup gayi.
Jhoot ped k peeche chhupa aur pyar gulab ki jhadiyon ke peechhe.
Sab pakde gai siwae pyar ke, Yeh dekh jealousy ne dard ko bata diya ki pyar kahan chhupa hai.
Dard ne pyar ko khich ke nikala to kaanto ki wajah se pyar ki aankhe kharab ho gayi.
Pyar andha ho gaya.
Yeh dekh kar GOD ne dard ko saja sunai ki use jindagi bhar pyar k sath rehna padega.
Tab se pyar Andha hai aur jaha bhi jata hai dard Sath hota hai."
3.
“Pratiksha”
“Bas teri pratiksha me, gujar di jindagi humne.
Tum jo aaye nahi to, ujad li jindagi humne.
Sabr ki simayen thi, hum pratiksha kab tak karte.
Kagzon ko syahiyon se, hum bhara kab tak karte.
Tumne na bhulane ki, humse kasam le dali thi.
Chhod kar na jauga, apni bat bhi usme dali thi.
Ek agar ruthega to, use dusra manayega.
Vaade ye pyar ke, koi tod kar na jayega.
Vaada nibhaya maine, aur laaj bach gayi teri bhi.
Agle janam me milne ki, aas bach gayi meri bhi.
Mukt karti hu tumko, tere bhule bisre vaadon se.
Mat karna tum glani kabhi, apne adhure vaadon se.”

0 comments:
Post a Comment
Thanks