Pop Up

Need Help ?

Saayri

1.
"Dil aur dimag ko ro luga aah kar luga.
 Tumhare ishq me sab kuch tabah kar luga.
 Agar mujhe na mili tum, tumhare sar ki kasam.
 Mai apni saari jawani tabah kar luga"

2.
"Tum haste ho mujhe hasane ke liye. 
Tum rote ho mujhe rulane ke liye. 
Tum yadi rooth jaoge mujhse.
 To mai mar jaungi tumhe manane ke liye."

3.
"Ae maut tujhe gale lagana chahti hu.
 Kitni wafa hai tujh me aazmana chahti hu.
 Un ne bahut rulaya hai mujhe.
 Tera sath mile to un ko rulana chahti hu." 

4.
“Zakhm muskurate hai ab bhi teri aahat par,
 Dard bhool jaate hai ab bhi teri aahat par,
 Umar kaat di lekin bachpana nahi jaata,
 Chauk chauk jaate hai ab bhi teri aahat par,
 Teri aahat aaye to neend udh jaati hai,
 Hum khushi manate hai ab bhi teri aahat par.”

5.

“Aaj mausam me ajib si bat hai.
 Bekabu se mere khayalat hai.
 Dil chahta hai tumko chura lu tumse,
 Par mummy kahti hai ki chori karna paap hai.” 

6.
“Umar kya kahu kaafi nadan hai meri. 
Has ke milna pehchan hai meri. 
Apka Dil zakhmo se bhara ho to mujhe yad kijiye, 
DILO ko Repair karne ki dukaan hai meri.” 

7.

“Tum khafa kyon ho mujhse.? 
Tumhe mujhse gila kya hai.?
 Achanak berukhi itni. 
Batao to hua kya hai.?
Manau kis tarah tum ko.?
 Mujhe itna to batla do. 
Tumhare muskurane se.
 Mera dil muskurata hai. 
Tumhare rooth jane se.
 Mera dil toot jata hai. 
Tumhare narm honton pe. 
Gile ache nahi lagte.
 Tumhari Aankh Me Aansu.
 Mujhe Ache Nahi Lagte.
 Tumhari Aankh Me Aansu.
 Mujhe Ache Nahi Lagte.” 

8.
“Rishton ka bharosa kabhi tutne na dena.
 Dosti ka sath kabhi chhutne na dena.
 Rok lena khud ko galti karne se pahle,
 Apni kisi galti se mujhe ruthne na dena.”

9.
“Bas itna chahti hu juda hone se pahle.
 Tum khud na kho jana apni manzil pane se pahle.
 Roothe na kabhi tumse mohabbat tumhari,
 Isliye rokti hu galti hone se pahle.” 

10.
“Is dosti ko sada aise hi nibhati rahna.
 Dil ki har baat mujhe aise hi batati rahna.
 Tumhari duaon se manzil bhi pa jauga mai.
 Bhatakne na dena rasta aise hi dikhati rahna.” 

11.
“Dua mangti hu khuda se ek aehsan likh de.
 Tumhari takdeer me tumhara pyar likh de.
 Na mile tumhe kabhi dard mohabbat me,
 Wo chahe to meri takdeer me gum tamam likh de.”

12.
“Kash khusiyon ki koi dukan hoti.
 Aur usme meri pahchan hoti.
 Kharid leta saari khushiyan tumhare liye.
 Chahe uski keemat meri jaan hoti.” 

13.
“Arz kiya hai, 
Itne kamjor huye teri judai se.
Gaur farmaiye,
 Itne kamjor hue teri judai se. 
Ki chinti bhi ab kheech le jaati hai charpai se.” 

14.
“Zindagi tujhse har kadam par samjhauta kyo kiya jaye.
 Shauk jeene ka hai magar itna bhi nahi ki, 
mar mar ke jiya jaye.
 Jab jalebi ki tarah ulajh hi rahi hai tu ae zindagi, 
To fir kyo na tujhe chasni me dubo kar maja hi le liya jaye.” 

15.
“Udas lamho ka bhi na koi malaal rakhna.
 Tufaano me bhi apna hausla sambhal rakhna.
 Mere liye shart ae jindgani ho tum.
 Isi khatir hi sahi khud ka khayal rakhna.”

16.
“Waqt mile to yaad karte ho.
 Dil karta hai to baat karte Ho.
 Ek zamana tha jab hamare bina,
 Ek pal bhi nahi reh sakte the.
 Par ab to ek zamane ke baad,
 Sirf pal bhar ke liye yaad karte ho.” 

17.
“Humko maloom hai jannat ki haqeeqat lekin,
 Dil ko khush rakhne ko Ghalib yeh khayaal.”

18.
“Abhi suraj nahi dooba,
 jara si shaam hone do. 
Main khud laut jaungi, 
mujhe nakaam hone do.
 Mujhe badnaam karne ka, 
bahana dhundte ho kyon, 
Main khud ho jaungi badnaam,
 pehle jara naam hone do.” 

19.
“Ek dard hai jo mujhe jine nahi deta.
 Dil sabar ka aadi hai mujhe rone nahi deta.
 Mai unki hoon ye raz to wo jaan gaye hai.
 Wo kiske hai ye sawal mujhe sone nahi deta.” 

20.
“Aaj kuch kami si hai tere baigar. 
Na rang hai na roshini hai tere bagair. 
Waqt apni raftaar se chal raha hai,
 Bas dhadkan thami huyi hai tere baigar.” 

21.
“Ho jaye koi bhool to na dil se lagana. 
Jo bhi shikayat ho mil ke batana.
 Samjho jo apna to haq hum pe jatana,
 Sacchi hai agar dosti to dil se nibhana.”

22.
“Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge.
 Sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge.
 Agar hum tumhari dosti me mar bhi jaye to, 
Tum dil se pukar lena hum kafan chod denge.”




636
Next Page

Previous Page

0 comments:

Post a Comment

Thanks